Hum insaan bade ajeeb hain.
Ek taraf kehte hain jo hua so hua.
Jo hua achche k liye hua.
Bhagwaan ki marzi se hua.
Hua taaki humein aur behtar cheez mile.
Aise hi khudko dilasa dete rehte hain hum.
Par fir bhi, jo hua usko seene se lagakar zindagi bita dete hain.
Jo chhoot gaya usey wapas paane ki aas mein saanse rukaaye rehte hain.
Jiss zameen se ujade gaye, wahin ki mitti fir ek baar chhoone k liye jhuke rehte hain.
Bhagwaan ki marzi samajhte samjhate saalon bita dete hain.
Behtar cheezon ko paa kar bhi, hum wapas ghar kab jaa sakte hain, ye sochte rehte hain.
Khudko dilasa dete dete bhi, guzare lamhon ki yaad mein kabhi aansoon toh kabhi aahein bharte rehte hain.
Kuch nai badlega, khudse fir haar maankar hum karvat badal dete hain.
-Aarushi Raina Bhaumik
17/3/2022